masum mashkize

pair mein tapti dhup pahan kar
sar par jalta suraj tanke

pith ko signal se chipkae
pani bechne wale sae

jin ke hath hamesha se bas pani jante rahte hain
aur aankhon se bas do hi duaen uchhle jaen

jalti dhup aur batti surkh
ek hath mein jag atkae

aur gilas mein ungliyan bhar kar apna dusra hath uthae
ek hi khwab mein kab se zinda

jaldi se ho signal surkh
to gadiyan apna sans bithane sadak par thahren

aur pasine pani mangen
hum har ek gadi ko chhu len

thahri khidkiyan hath se uchken
jalte mathe bech ke hum bhi aath aane ki pyas bujhaen

jeben sikkon se bhar jaen
lekin khwab kahan samjhenge

umr ka signal surkh hua
to gadi dur nikal jaegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close