tumhein ye kis ne kah diya aakhir ki kisi restaurant ke nim tarik goshe mein baith kar maddham sargoshiyon mein muskuraate labon se baat karna aur icecream ke cup mein chammach hilate hue khwahish-e-dil ko zaban par le aana mohabbat hai tumhein ye kis ne kah daya aakhir ki kisi raqs-kade mein ham-raqs ke baalon ko chhute hue dhire se dilkash dhunon ke hasin suron par uthte hue qadmon ki tal par aankhon mein jhankna sitaron ko chun lena aur an-kahi suna dena mohabbat hai jaez-o-na-jaez ke falsafe ka asa thame jawaz-e-had-o-be-had ki diwar sajae bila dastak be-ruh makan-e-jism mein dar aana mohabbat hai mohabbat ko mahz chaar harf na samjho jinhen tum scrabble mein istimal karte ho na hi mohabbat koi wideo game hai jis mein gum ho kar tum tension ko bhulate ho mohabbat ko wrong number samajh ke milate ho mohabbat koi dara hua parinda nahin jise tum jumlon ki dor se bandhte ho mutthi mein band karte ho aur bhul jate ho balki mohabbat to kisi wahshi qabile ki chaalak dewi tumhaari ana ko apne tilism mein yun qaid karti hai ki tum sara zoam bhul jate ho mohabbat man ka sachcha sauda hai ise bazar mein becha nahin karte mohabbat ek nazuk si ladki jise rulaya nahin karte mohabbat ko zaea nahin karte