apna apna shahr

hamare dilon mein kuchh dubta ja raha hai
mere aur tumhaare

wo kya hai
kya hum us ke bhed pa sakte hain

kohre ki sard chadar ne
jangal ko apne sae mein le liya hai

koi aawaz nahin
sirf ek gahri mahak

koi mere dil mein loban ki dhuni deta hai
aur aankhen jalne lagti hain

hum dhaare ke muqabil nahin tair sakte
aur dhaare ke sath bhi nahin

ki mujh mein ek samundar hai
aur tum mein dusra

tum mere liye kashti nahin bana sake
aur main ne tumhaari kashti kinare se khol di

ab koi rasta nahin
hum nafrat ke liye jawaz talash kar lete hain

aur is tarah apni shikast ko taslim karte hain
aur dub jate hain

apne apne samundar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close