koi aawaz thi jis ke talatum mein yun bah jaana kahan manzur mujh ko tha kahin wahshat ke an-dekhe bhanwar ke sat parde the jo zindanon mein khulte the har ek zindan mein main thi aur meri sarshaar tabiat ke har ek lamhe ki sanson mein kahin meri ana thi meri taqat thi mohabbat thi main kab aisi kisi aawaz ki zad mein mohabbat dhundhti tahlil hoti aur aawara si kuchh maujon mein mil kar khud ko kho deti mohabbat jism hai mana magar sarshaar ruhon ki alag bhi ek basti hai khayalon se pare bhi ek nagar hai jis mein hum tum zindagi ki faqa-masti aur udasi aur khamoshi ke jangal se guzarte hain jahan viraniyon ki saltanat mein dida-o-nadida khwab bante aur ujadte hain kahin hum raste ke sang-paron se ulajh kar ek lamhe mein hazaron bar jite aur marte hain mohabbat jism ke chhote se hujre ke kisi goshe mein rahti hai yahan rauzan nahin koi kahin se raushni ki ek kiran andar nahin aati bahut gahra andhera hai tasawwur aur khayalon ki guzargahon pe pahra hai mohabbat ek la hasil safar ka satwan parda hai jis mein ek samundar us ki tughyani khamoshi ka basera hai samundar shant hota hai to pistanon se lahren yun lipatti hain ki jaise ghan garaj ke ba'd sarshaari ka lamha ho usi lamhe mein waqfe mein mohabbat be-karan hoti hai jiti hai mohabbat gungunati aur bikharti hai mohabbat jawedan hoti mahakti hai