ye dhatura hai kanton bhara aur wo us ka hai ham-safar zindagi ka antim safar niche kanton ka bistar aur upar se kirnon ke neze ya wo gardish kare ya wo karwat hi badle azal se wo zakhmon se hai chur-chur jaane kitne sahe us ne dukh apne lambe safar mein kitne aansu bahae hain us ne khun ke sat sagar bane hain kaun andaza kar sakta hai us ke dukh ka