main use jiwan ki aakhiri sarhad par chhodne gaya tha jaante ho jiwan ki aakhiri sarhad par jo bhi chala jae wapas nahin aata main use chhod kar khali hath laut aaya hun kya pata wahan ja kar use meri yaad aati bhi ho ki nahin bite jiwan ke sunahri pal use bulate hon ya nahin kya khabar wo bhi meri tarah nae jiwan ke kaamon mein ulajh baitha ho lekin kabhi-kabhaar to meri tarah wo bhi mujhe yaad karta hoga us ne kaha tha jate jate mujhe bula kar mere kan mein sargoshi mein hum phir milenge kisi aur hi nai duniya mein kisi aur khubsurat jiwan mein ek bar zarur milenge mukhtalif se haalat mein mukhtalif se khad-o-khal ke sath jiwan ke kisi nae kirdar mein hum phir milenge aur main sochta hun sach hi to kahta tha wo kisi ke mar jaane se us ki ahmiyat kam nahin hoti mohabbat kam nahin hoti balki mohabbat to bas jism chhod deti hai aur ja kar kisi aur jism mein utar jati hai koi aur chehra koi aur kirdar hu-bahu wahi kahani dohraata hai jo jiwan ki aakhiri sarhad tak sath chalti hai mohabbat kab marti hai