mohabbat KHatm hai tum par

tum kya jaano
aawaz safar karti hai

dur mandiron mein bajti ghantiyon ki tarah
jism bolte hain

dariya ki lahren jab kinaron se takraati hain
talatum-khez maujon ka ajab ek shor uthta hai

aur us par padti kamron ki raushni
khak dariya mein ruh phunk deti hai

tum bachchon ko pariyon chand sitaron ki kahaniyan sunate ho
be-khabar

ye sabhi tumhaare khilaf dohri chaal chal rahe hain
tum qadim dhunon mein

pesh-e-doshizgi doshizgi ke rang dete ho
aur aaram talab ghataon se gurezan ho

jo tumhaare raste mein khali pade benchon par matam karti hain
keats aur coleridge tumhaara kya bigadenge

aql-o-danish ke pahre-dar tumhaari hifazat kar rahe hain
tumhein khwab ki tahwil mein kaise laen

tum aur mohabbat
apni aankhen suraj ki taraf rakho

shukr dopahar
sannaton mein diwana-war us ki gali talash karoge

tum ek din wahshat ke hathon mar diye jaoge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close