qudrat ki flashlight

raat ke naqsh ujal kar
baalti mein bhar diye gae

chand jin mein
apni kirnon ke moti uchhaalta tha

jalti hui hatheli par kis ne rakha tha chand ko
wo hath apne mal rahi thi

aaina dekhta tha
manzaron ke dusri taraf

bhediya apni gambhir aawaz faza mein bikherta
bastiyon mein khauf undelta tha

screen ka parda badal do
aaine ko dekhne do

subh-e-nau motiye ki taza khushbu
dalan mein abba ji ke sath chae pina

school ka bag uthae lambi sadak ka safar
use dekhne do

wo sabz khilkhilate manzar
are

lamp bujha diya gaya
sabhi manzar ulat diye gae

ai chakkar lagati hui chamgadad tu hi bata
qudrat ki flashlight kis ke hath mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close