main is shahr-e-kharabi mein faqiron ki tarah dar dar phira barson use galiyon mein sadkon par gharon ki sard diwaron ke pichhe dhundhta tanha ki wo mil jae to tohfa use dun apni chahat ka tamanna meri bar aai ki ek din ek darwaza khula aur main ne dekha wo shanasa chand sa chehra jo shadabi mein gulshan tha main ek shan-e-gadayana liye us ki taraf lapka to us ne chashm-e-be-parwa ke halke se ishaare se mujhe roka aur apni zulf ko mathe pe lahraate hue puchha kaho ai ajnabi sail gada-e-be-sar-o-saman tumhein kya chahiye hum se main kahna chahta tha umr guzri jis ki chahat mein wahi jab mil gaya to aur ab kya chahe mujh ko magar taqrir ki quwwat na thi mujh mein faqat ek lafz nikla tha labon se kanpta darta jise ummid kam thi us ke dil mein bar pane ki mohabbat lafz tha mera magar us ne suna roti