nuzhat-e-sham ne jab rakht-e-safar bandh liya dard ne ruh ko bedari ka paigham diya aah nasur-e-wafa ghar se hum ishrat-e-azad ke shaida nikle ho ke jaan-sozi tanhai se paspa nikle le kar apne dil-e-bimar ko tanha nikle soch rakkha tha ki ab yun use bahlaenge raqs mein mai mein kisi saz mein kho jaenge hosh se aaj to mahrum se ho jaenge taki ho jins-e-tamanna ke fusun se chhute maslahat kosh bane qaid-e-junun se chhute sar se dil-dari-e-azad ka sauda nikle dard mit jae teri yaad ka kanta nikle lekin is shumi-e-taqdir ka kya ho shikwa sar hi jab naz-gah-e-war se uncha nikle