mohabbat wo pamal rasta nahin hai ke aate hue mod ki har khabar kirm-khurda kitabon ke bosida safhon ki dhundli lakiron mein chhup-chhup ke uryan hui ho mohabbat ki taswir kis ne banai mohabbat ke safar ka safar-nama kis ne likha hai agar koi ek gum-shuda si sadi mein idhar se guzar bhi gaya tha to us ko khabar kya koi bita mausam inhi pattharon ki kisi darz mein koi konpal khila kar gaya ho mohabbat ka har tajraba dusre se alaihada na hota to ye jhurriyon si daradon se labrez patthar se chehre hamein apne pamal raston pe ungli pakad kar chalate ye khud hum se kahte ke jao mohabbat karo magar jaan-e-jaanan hamara tumhaara yahi masala hai baghawat riwayat nahin hai