bhala qat-e-talluq ki koi taujih kaise ho talluq tutne ki nahj par aa kar hamesha tut jata hai lab-e-baam-e-tamanna hath aksar chhut jata hai kabhi kuchh mod sidhe raston ko mod dete hain kabhi lambi masafat ki thakan shauq-e-safar ko mand karti hai kabhi yaksaniyat ka khauf jazbon ki lagamen khinch leta hai kabhi ek rah-rau jaldi mein hota hai kabhi khwahish to hoti hai magar jazba nahin hota kabhi jazbaat hote hain magar khwahish nahin hoti kabhi aisa bhi hota hai talluq se taffun uthne lagta hai kabhi kuchh bhi nahin hota magar phir bhi talluq tut jata hai bhala qat-e-talluq ki koi taujih kaise ho