nazar ke tir se ek dard sa uthta hai sine mein phir is ke ba'd se hi sab ka ji lagta hai jine mein ye aisa dard hai jo din-ba-din badhta hi jata hai chadhe dariya mohabbat ka to bas chadhta hi jata hai mohabbat jis mein rahti hai wo man maila nahin hota ki jaise chandni chhu le to tan maila nahin hota isi khushbu ko le ke raat ki rani mahakti hai mohabbat chum le jis ko wo peshani mahakti hai ye hindu hai na muslim hai mohabbat sikh na isai jidhar se jab bhi ye guzri to har ghar mein bahaar aai jahan mein sab se uncha ek mohabbat ka shiwala hai jahan dekho jidhar dekho usi ka bol-baala hai mohabbat ka ye pahlu bhi zara sa ghaur farmaen agar unwan achchha ho to hum kuchh aur farmaen mohabbat hai mubarakbaad ke laeq to aakhir kyon jo sachchi baat hai us ko zaban kahne se qasir kyon magar ye baat bhi mahbub ke lahje mein bhati hai mujhe tum se mohabbat hai ye kahte sharm aati hai 'suman' is dard ko inam-e-yazdani samajhti hai aur is ehsas ko ehsas-e-la-sani samajhti hai