chhalak jati hain aankhen jab bhi hum fariyaad karte hain wo din kya phir na aaenge jinhen hum yaad karte hain wo un ka pyar wo shaikh-o-barahman yaad aate hain kabhi ek shakh par the do nasheman yaad aate hain khushi milti thi us ko jo kisi ke kaam aata tha kisi ka dard le kar kis qadar aaram aata tha wahi hum hain wahi tum ho phir itna fasla kyon hai sabhi kuchh ek hai to phir ye dil se dil juda kyon hai kabhi is mulk ki nazdik se taswir to dekho kisi ke khwab ki tuti hui tabir to dekho khizan ka daur is dil ke chaman se kaise niklega hamare mulk ka suraj gahan se kaise niklega 'suman' dars-e-mohabbat yun parinde hum ko dete hain kabhi mandir mein rahte hain kabhi masjid mein rahte hain