abhi thahro abhi se is talluq ka koi unwan mat socho abhi to is kahani mein mohabbat ke adhure bab ki takmil hone tak nazar ki dhup mein rakkhe hue khwabon ke sare zaiqe tabdil hone tak bahut se mod aane hain mujhe un se guzarne do zara mahsus karne do ki mere panw ke niche zamin ne rang badla hai mere lahje mein apna kis tarah aahang badla hai mujhe thoda sambhalne do abhi thahro abhi thahro ki wo khush-bakht saat bhi abhi mujh tak nahin pahunchi jo dil ke aaine ko wahm ki andhi gali se etibar-e-zat ki sarhad pe lati hai use rasta batati hai abhi un raston par tum mujhe kuchh der chalne do abhi thahro koi khwahish umid-o-bim ke mabain ab bhi sans leti hai use is karb se aazad karne do wo sare khwab jin ko dekhne ka qarz mein luta nahin pai mujhe un ke liye tabir ka safha palatne do abhi thahro kisi bite hue mausam ke bakhshe zakhm ab bhi aankh ki putli mein raushan hain zara ye zakhm bharne do masihai tumhaari ruh ki patal tak kaise pahunchti hai mujhe andaza karne do abhi thahro abhi se is talluq ka koi unwan mat socho