ism-e-azam bahut achchha hua tha man ne meri sikhla diye the ism sare mujh ko bachpan mein tamam aayat-e-qurani wazife aur munajaten ki jin ke wird se sari balaen dur rahti hain hisar un ka har aafat aur musibat se bachata hai unhi ke hifz se hoti rahi mushkil-kushai aur masihai magar jab wajud us ka mujassam ajnabi ban kar gurezan ho gaya mujh se azab jaankani ban kar khayal aaya ki shayad bas wahi ek ism-e-azam man mujhe sikhla nahin pai jise padhne se us ki sard-mehri sard pad jae jo us ke dil ka zangi qufl khole aur wo mujh ko faqat ek bar izn-e-baryabi de aazab-e-narasai khatm kar de aur nawed-e-shadmani de