barson guzre kisi jhil mein pankh duboe hue sadiyan bitin sar-e-sahil banh pasare hue wo man-sarowar jis mein sahar ki halki mithi dhup bhi hai pedon ka ghanera saya bhi aur qul-qul karti khamoshi wo jis ki rahen durgam si ye hans use pa jae agar sab gard wahin dho aaega sab dard dubo aaega wahin wo jis ki tamanna mein din din ye pankh bikharte jate hain ye sans ulajhti rahti hai