motor

tez hawa se baaten karti
daudti aur farrate bharti

motor aai khak udati
pun pun karti shor machati

chaal mein tezi aisi bala ki
dekh ke mat kat jae hawa ki

kaisi der kahan ki susti
pal mein aai aur gai bhi

raat ko aae din ko aae
chalne se na kabhi ghabrae

agli seat pe baitha shofar
sahab baithe kud ke andar

shofar ne bhonpu ko bajaya
phir do ek purzon ko hilaya

chabi pheri jaldi jaldi
dhak dhak karti motor chal di

main batlaun motor kya hai
chalta phirta ek kamra hai

us ke panw rabad ke pahiye
chalne mein bas aandhi kahiye

kal ka ghoda is mein juta hai
purza purza khub bana hai

pani aur petrol pilao
chahe jahan is ko le jao

is ke siwa kuchh aur na khae
dane ghas ke pas na jae

bahli yakka bagghi tum tum
tezi mein hain is se sab kam

kya kahna tera kari-gar
khub banai tu ne motor


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close