wo sab parinde jo ud ke jate hain faslon mein kahin bahut dur faslon mein so un ke bare mein ye to sab jaante hain, aakhir kahin koi ek ya dusri jagah aisi aa hi jati hai, wo jahan thak ke baith jaen wo koi mastul ya koi banjar chattan hoti hai jis ko pa kar wo sochte hain ki ye bhi kuchh kam nahin bahut hai, magar bhala kaun is haqiqat ko jaan kar ye guman karega ki un se aage wahan kushada faza nahin, ya wo ek aisa maqam hai, jis se aage parwaz ka kisi tarah koi imkan hi nahin hai hamare sare azim ustad aur sab pesh-rau bhi aakhir kahin pahunch kar thahar gae the so aisa hi mere sath hoga so aisa hi tere sath hoga nae parinde to aage hi jaenge magar han yahi basirat yahi yaqin hum mein aur un mein muqable ka sabab hai jo hum se aur hamari salahiyat se buland ho kar faza ki wusat mein dekhta hai ki kuchh parinde hain hum se badh kar jawan tawana aur un tawana jawan parindon ke ghol koshan hain aaj bhi us jagah jahan par hum apni sari salahiyat aazma chuke hain jahan har ek chiz hai samundar jahan har ek chiz hai samundar hum ab kahan jaen ye samundar batao kya hum ise kabhi par kar sakenge ye aarzu ab kahan hamein le ke ja rahi hai usi taraf kyun ki jis taraf jaane wale insaniyat ke sabab jagmagate khurshid chhup gae hain kabhi hamare liye bhi shayad yahi kaha jaega kisi din ki hum ne maghrib ki samt gahre samundaron mein safar kiya tha umid ye thi ki hum ko mashriq mein ek nai sarzamin milegi magar muqaddar ye tha ki ai dost be-karani se ja ke takraen aur hum pash pash ho jaen ya mere dost shayad