khuda hashr mein ho madad-gar mera ki dekhi hain main ne mrs-sala-manka ki aankhen mrs-sala-manka ki aankhen ki jin ke ufuq hain junubi samundar ki nili rasai se aage junubi samundar ki nili rasai ki jis ke jazire hujum-e-sahar se darakhshan darakhshan jaziron mein zartab o unnab o qurmuz parindon ki jaulan-gahen aise phaili hui jaise jannat ke daman parinde azal aur abad ke mah o sal mein baal-afshan! khuda hashr mein ho madad-gar mera ki main ne liye hain mrs-sala-manka ke honton ke bose wo bose ki jin ki halawat ke chashme shumali zaminon ke zartab o unnab o qurmuz darakhton ke madhosh baghon se aage jahan zindagi ke rasida shagufon ke sinon se khwabon ke ram-dida zambur lete hain ras aur pite hain wo ki jis ke nashe ki jila se zamanon ki nadida mehrab ke do kinaron ke niche hain yak-bargi gunj uthte khala o mala ke jalajil jalajil ke naghme baham aise paiwast hote hain jaise mrs-sala-manika ke lab mere lab se! khuda hashr mein ho madad-gar mera ki dekha hai main ne mrs-sala-manka ko bistar mein shab bhar barahana wo gardan wo bahen wo ranen wo pistan ki jin mein junubi samundar ki lahron ke tufan shumali darakhton ke baghon ke phulon ki khushbu jahan dam-ba-dam itr o tufan baham aur gurezan mrs-sala-manika ka jism-e-barhana ufuq-ta-ufuq jaise angur ki bel jis ki ghiza aasmanon ka nur aur hasil wo lazzat ki jis ka nahin koi payan khuda ke siwa kaun hai pak-daman!