ye kah raha hai dil-e-be-qarar tez chalo bahut udas hain zanjir o dar tez chalo jo thak gae hain unhen gard-e-rah rahne do kisi ka ab na karo intizar tez chalo khizan ki sham kahan tak rahegi saya-fagan bahut qarib hai subh-e-bahaar tez chalo tumhi se khauf-zada hain zamin o zar wale tumhi ho chashm-e-sitam-gar pe bar tez chalo karo khulus o mohabbat ko rahnuma apna nahin durust dilon mein ghubar tez chalo bahut hain hum mein yahan log guftugu-pesha hai un ka sirf yahi karobar tez chalo khirad ki sust-rawi se kise mili manzil junun hi ab to karo ikhtiyar tez chalo