tumhaare dil ki sang-lakh wadi mein dushwar-guzar aur pur-pech raston ke beach kahin kisi maqam par ek shikasta-haal jhonpadi garm hawa ke thapedon se apni zang-alud mekhon ke bal par waise hi phadphada rahi hai jaise diye ki jaan-ba-lab lau andheron ko shikast dene ke baad bujhne lagti hai jin lahron aur un se janm lene wali aawazon ko sang-dil shair phadphadahat se tabir kar raha hai wo sang-lakh wadi ka dukh hai aur shikasta-haal jhonpadi ek muazziz shair ki kaenat hai * fitrat ke hashiya-nawison ne chand bosida khwahishat ki kai phati chadaren odh kar khud ko fitrat ke rangon mein rangne se apne tain camouflage kar liya hai kya wo kati phati chadaron se pattharon ko rote bilakte nahin dekh sakte fitrat ne un ko bhi pighal jaane ki kamzori se aashna kiya hai lekin wo shairi nahin karte * duniya ke tamam shair kurra-e-arz par pattharon ke mabadon mein mahbus hain lekin wo un se nazren chura kar atraf mein khil uthne wale rangin shagufon ki tahriri musawwiri mein magan hain shair se behtar kaun jaan sakta hai ki arzi kokh se insan ka janm mashaqqat mein hua hai aur use zindagi is tarah di gai hai jaise koi shikasta-haal jhonpadi mein dakhil ho * bosida khwahishat ki kati phati chadaren odhne wale khud ko muazziz samajhne par musir hai ai dil mein sang-lakh wadi tamir karne wale mahbub kya tum unhen ye bata sakte ho ki pattharon ka husn la-zawal hota hai