haalat ke kale baadal ne mere chhat ke chand ko gher liya tadbir ho mumkin khak koi ki bahar raqsan tariki aur andar phaili tanhai darwaze par dastak de kar aalam ki wahshat hansti hai aur sargoshi mein kahti hai ki ab kaise bach paoge meri tishna bebaki se kis se baaten kar ke mujh ko ab tum dhoke mein rakkhoge