mudawa ho nahin sakta dil-e-sada ab is aatish-numa ke samne ijz-e-mohabbat ka iada ho nahin sakta ye kya kam hai ki apne aap tak ko bhul kar us husn-e-khud-agah ki khatir na jaane kitne roz-o-shab the jo hum ne ginwae the bahut sare dinon ki gathdiyan thin jin ko khola tak na tha hum ne bas ek tah-khana-e-umr-e-guzishta mein hum in sab gathdiyon ko dher karte ja rahe the un ghani palkon ki thandi chhanw ko mahsus karne ki tamanna mein hamein ye dhyan kab tha kaun si gathdi mein kitna khubsurat din bandha hai aur us be-dam din ki subh-sahir kis hawa ke tahat se utri hai kin phulon ki khushbu zeb-e-tan kar ke sawad-e-shab se jhanki hai lab-o-rukhsar ko qaus-e-quzah ke rang dene ki abas khwahish mein hum ko dhyan kab tha kaun si gathdi main kis din ki dopahar apne tilism-asar raazon ko sunahri dhup ke thal mein jagati hai chhaton par sukhti mirchon gali mein gunjti asrar mein dubi hui si khamushi mein kaun se lamhe sulagte hain hamein ye dhyan kab tak us tamanna-zar ke pairahan-e-sad-rang ke andar bahakti garm khushbu ke khiram-e-taza mein khoe huon ko dhyan kab tha kaun se din ki suhani sham kin ufuqon ko roti hai bahut sare dukhon ko darmiyan jo ek sham-e-arzu thi us ko lo ke samne jhuk kar hum us be-mehr chashm-e-munharif mein bas zara si der ko ek harf ki tabir padhna chahte the aur khamir-e-ishq mein gundhe hue ek khwab ka izhaar karna chahte the aur us sari kahani mein hamein ye dhyan kab tha kaun si gathdi mein kis din ka janaza hai abhi tah-khana-e-umr-e-guzashta ka ye darwaza khula to dhyan aaya hai ki itni dher sari umr mitti mein mila kar jo khasara hath aaya hai dobara ho nahin sakta mudawa ho nahin sakta dil-e-sada ab is aatish-numa ke samne ijz-e-mohabbat ka iada ho nahin sakta