zamane kho gae aainda o rafta ke mele mein zaminen gum huin paikar-e-has-o-nist mein aisi koi naqsha makanon aur makinon tak pahunchne ka zariya bhi nahin banta hai taswiren ab apni bastiyon mein dam-ba-khud sahmi hui nadim padi hain main albam ke waraq jab bhi ulatta hun to kuchh aansu ke qatre jhilmilate hain fasurda gum-shuda chehre ghubar-e-na-shanasai mein kuchh dhundle hayyulon ki tarah fariyaad karte hain waraq albam ke guzre mausamon maghmum aankhon train ki khidki se hilte hathon pichhe chhutti aabaadiyon ko yaad karte hain main albam ke waraq jab bhi ulatta hun kisi dasht-e-faramoshi mein sukhe ped par ek aakhiri patte ki surat sare lamhe mujh ko tanha chhod aate hain main is tanhai ke jangal mein larzan dil-pareshan raqs karta hun main khud ko bhul jaane ka yaqinan (hausla baqi nahin hai) swang bharta hun