mujh se saheli ne kaha mumtaz aisa likhti ja jis mein hon kuchh chudiyon jhankar ki baaten kuchh tazkire hon chunriyon ke izhaar ki baaten udte sunahri aanchalon mein motiyon ki si ladi pahli wo shaitani meri pahli wo jo meri hansi baali umr ki dil-kashi wo bachpane ki shokhiyan khwabon mein khwahish ke sarab dhadkan ki wo sargoshiyan gota kanari tankte ungliyon mein sui ki chubhan danton mein ungli dab kar hoti shurua phir se lagan pahli dafa dhadka tha kab ye dil tujhe kuchh yaad hai wo khushbuon rangon ki duniya ab bhi kya aabaad hai main ne kaha meri sakhi duniya kya tu ne na taki masruf itni zindagi ki chudiyan pahni nahin jo chunariyan rangin thin wo dhup le kar ud gain meri umr ki titliyan ab aur jaanib mud gain ab dupatton par kabhi na gota moti tankti hun suiyan hathon par nahin ab dil ko apne tankti hun khushbuon ke des se main dur itni aa gai jine ki khatir mard sa andaz main apna gai rishton ko naton ko nibhate farz ada karte hue tu ne jo chaunkaya laga muddat hui aurat hue