mera nam bachcho batao to jaanun

mere sath aati hain thandi hawaen
badalti hain aane se meri fazaen

main aati hun barsat ke baad tan kar
sulati hun logon ko kamre ke andar

main hamrah lati hun gadde bichhaune
pahnati hun har ek ko garm kapde

mazedar mewe khilati hun sab ko
badi garm chae pilati hun sab ko

kabhi pesh karti hun gajar ka halwa
kabhi la ke deti hun halwa malida

mere daur mein raat hoti hai lambi
bhari hai bahut jis mein hikmat khuda ki

ye hikmat khuda ki sujhao to jaanun
mera nam bachcho batao to jaanun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close