nasheb-e-arz pe zarron ko mushtail pa kar bulandiyon pe safed-o-siyah mil hi gae jo yaadgar the baham satiza-kari ki ba-faiz-e-waqt wo daman ke chaak sil hi gae jihad khatm hua daur-e-ashti aaya sambhal ke baith gae mahmalon mein diwane hujum tishna-laban ki nigah se ojhal chhalak rahe hain sharab-e-hawas ke paimane ye jashn jashn-e-masarrat nahin tamasha hai nae libas mein nikla hai rahzani ka julus hazar sham-e-ukhuwwat bujha ke chamke hain ye tirgi ke ubhaare hue hasin fanus ye shakh-e-nur jise zulmaton ne sincha hai agar phali to shararon ke phul laegi ye phal saki to nai fasl-e-gul ke aane tak zamir-e-arz mein ek zahr chhod jaegi