chhota sa ek ganw tha jis mein diye the kam aur bahut andhera bahut shajar the thode ghar the jin ko tha duri ne ghera itni badi tanhai thi jis mein jagta rahta tha dil mera bahut qadim firaq tha jis mein ek muqarrar had se aage soch na sakta tha dil mera aisi surat mein phir dil ko dhyan aata kis khwab mein tera raaz jo had se bahar mein tha apna-ap dikhata kaise sapne ki bhi had thi aakhir sapna aage jata kaise