jab aadmi ke haal pe aati hai muflisi kis kis tarah se us ko satati hai muflisi pyasa tamam roz bithati hai muflisi bhuka tamam raat sulati hai muflisi ye dukh wo jaane jis pe ki aati hai muflisi kahiye to ab hakim ki sab se badi hai shan tazim jis ki karte hain to ab aur khan muflis hue to hazrat-e-luqman kiya hai yan isa bhi ho to koi nahin puchhta miyan hikmat hakim ki bhi dubaati hai muflisi jo ahl-e-fazl aalim o fazil kahate hain muflis hue to kalma talak bhul jate hain wo jo gharib-ghuraba ke ladke padhate hain un ki to umr bhar nahin jati hai muflisi muflis kare jo aan ke mahfil ke bich haal sab jaanen rotiyon ka ye dala hai is ne jal gir gir pade to koi na liye use sambhaal muflis mein howen lakh agar ilm aur kamal sab khak bech aa ke milati hai muflisi jab rotiyon ke batne ka aa kar pade shumar muflis ko dewen ek tawangar ko chaar chaar gar aur mange wo to use jhidken bar bar muflis ka haal aah bayan kya karun main yar muflis ko is jagah bhi chabaati hai muflisi muflis ki kuchh nazar nahin rahti hai aan par deta hai apni jaan wo ek ek nan par har aan tut padta hai roti ke khwan par jis tarah kutte ladte hain ek ustukhwan par waisa hi muflison ko ladati hai muflisi karta nahin haya se jo koi wo kaam aah muflis kare hai us ke tain insiram aah samjhe na kuchh halal na jaane haram aah kahte hain jis ko sharm-o-haya nang-o-nam aah wo sab haya-o-sharm udati hai muflisi ye muflisi wo shai hai ki jis ghar mein bhar gai phir jitne ghar the sab mein usi ghar ke dar gai zan bachche rote hain goya nani guzar gai ham-saya puchhte hain ki kya dadi mar gai bin murde ghar mein shor machati hai muflisi lazim hai gar ghami mein koi shor-ghul machae muflis baghair gham ke hi karta hai hae hae mar jawe gar koi to kahan se use uthae is muflisi ki khwariyan kya kya kahun main hae murde ko be kafan ke gadati hai muflisi kya kya muflisi ki kahun khwari phakadiyan jhadu baghair ghar mein bikharti hain jhakadiyan kone mein jale lapte hain chhappar mein makadiyan paisa na howe jin ke jalane ko lakdiyan dariya mein un ke murde bahati hai muflisi bibi ki nath na ladkon ke hathon kade rahe kapde miyan ke baniye ke ghar mein pade rahe jab kadiyan bik gain to khandar mein pade rahe zanjir ne kiwad na patthar gade rahe aakhir ko int int khudati hai muflisi naqqash par bhi zor jab aa muflisi kare sab rang dam mein kar de musawwir ke kirkire surat bhi us ki dekh ke munh khinch rahe pare taswir aur naqsh mein kya rang wo bhare us ke to munh ka rang udati hai muflisi jab khub-ru pe aan ke padta hai din siyah phirta hai bose deta hai har ek ko khwah-makhwah hargiz kisi ke dil ko nahin hoti us ki chah gar husn ho hazar rupe ka to us ko aah kya kaudiyon ke mol bikati hai muflisi us khub-ru ko kaun de ab dam aur diram jo kaudi kaudi bose ko raazi ho dam-ba-dam topi purani do to wo jaane kulah-e-jism kyunkar na ji ko us chaman-e-husn ke ho gham jis ki bahaar muft lutati hai muflisi aashiq ke haal par bhi jab aa muflisi pade mashuq apne pas na de us ko baithne aawe jo raat ko to nikale wahin use is dar se yani raat o dhanna kahin na de tohmat ye aashiqon ko lagati hai muflisi kaise hi dhum-dham ki randi ho khush-jamal jab muflisi ho kan pade sar pe us ke jal dete hain us ke nach ko thatthe ke bich dal nache hai wo to farsh ke upar qadam sambhaal aur us ko ungliyon pe nachati hai muflisi us ka to dil thikane nahin bhaw kya batae jab ho phata dupatta to kahe se munh chhupae le sham se wo subh talak go ki nache gae auron ko aath sat to wo do take hi pae is laj se ise bhi lajati hai muflisi jis kasbi randi ka ho halakat se dil hazin rakhta hai us ko jab koi aa kar tamash-bin ek paun paise tak bhi wo karti nahin nahin ye dukh usi se puchhiye ab aah jis ke tain sohbat mein sari raat jagati hai muflisi wo to ye samjhe dil mein ki dhela jo paungi damdi ke pan damdi ke missi mangaungi baqi rahi chhadam so pani bharaungi phir dil mein sochti hai ki kya khak khaungi aakhir chabina us ka bhunati hai muflisi jab muflisi se howe kalawant ka dil udas phirta hai le tambure ko har ghar ke aas-pas ek paw ser aane ki dil mein laga ke aas gori ka waqt howe to gata hai wo babhas yan tak hawas us ke udati hai muflisi muflis biyah beti ka karta hai bol bol paisa kahan jo ja ke wo lawe jahez mol joru ka wo gala ki phuta ho jaise dhol ghar ki halal-khori talak karti hai thithol haibat tamam us ki uthati hai muflisi bete ka biyah ho to na byahi na sathi hai ne raushni na baje ki aawaz aati hai man pichhe ek maili chadar odhe jati hai beta bana hai dulha to bawa baraati hai muflis ki ye baraat chadhati hai muflisi gar byah kar chala hai sahar ko to ye bala shahdar nana hijda aur bhat mundchada khinche hue use chale jate hain ja-ba-ja wo aage aage ladta hua jata hai chala aur pichhe tapdiyon ko bajati hai muflisi darwaze par zanane bajate hain taliyan aur ghar mein baithi domni deti hain galiyan malan gale ki haar ho daudi le daliyan saqqa khada sunata hai baaten razaliyan ye khwari ye kharabi dikhati hai muflisi koi shum be-haya koi bola nikhattu hai beti ne jaana bap to mera nikhattu hai bete pukarte hain ki baba nikhattu hai bibi ye dil main kahti hai achchha nikhattu hai aakhir nikhattu nam dharaati hai muflisi muflis ka dard dil mein koi thanta nahin muflis ki baat ko bhi koi manta nahin zat aur hasab-nasab ko koi jaanta nahin surat bhi us ki phir koi pahchanta nahin yan tak nazar se us ko giraati hai muflisi jis waqt muflisi se ye aa kar hua tabah phir koi is ke haal pa karta nahin nigah dalidari kahe koi thahra de ru-siyah jo baaten umr bhar na suni howen us ne aah wo baaten us ko aa ke sunati hain muflisi chulha tawana pani ke matke mein aabi hai pine ko kuchh na khane ko aur ne rakabi hai muflis ke sath sab ke tain be-hijabi hai muflis ki joru sach hai ki yan sab ki bhabi hai izzat sab us ke dil ki ganwati hai muflisi kaisa hi aadmi ho par iflas ke tufail koi gadha kahe use thahra de koi bail kapde phate tamam badhe baal phail phail munh khushk dant zard badan par jama hai mail sab shakl qaidiyon ki banati hai muflisi har aan doston ki mohabbat ghatati hai jo aashna hain un ki to ulfat ghatati hai apne ki mehr ghair ki chahat ghatati hai sharm-o-haya o izzat-o-hurmat ghatati hai han nakhun aur baal badhati hai muflisi jab muflisi hui to sharafat kahan rahi wo qadr zat ki wo najabat kahan rahi kapde phate to logon mein izzat kahan rahi tazim aur tawazoa ki babat kahan rahi majlis ki jutiyon pe bithati hai muflisi muflis kisi ka ladka jo le pyar se utha bap us ka dekhe hath ka aur panw ka kada kahta hai koi juti na lewe kahin chura nat-khat uchakka chor daghabaz gath-kata sau sau tarah ke aib lagati hai muflisi rakhti nahin kisi ki ye ghairat ki aan ko sab khak mein milati hai hurmat ki shan ko sau mehnaton mein us ki khapati hai jaan ko chori pe aa ke dale hi muflis ke dhyan ko aakhir nadan bhik mangati hai muflisi duniya mein le ke shah se ai yar ta-faqir khaliq na muflisi mein kisi ko kare asir ashraf ko banati hai ek aan mein faqir kya kya main muflisi ki kharabi kahun 'nazir' wo jaane jis ke dil ko jalati hai muflisi
This is a great aamir khan shayari snapdeal. True lovers of nida fazli shayari in urdu will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this roti shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!