tumhein udas sa pata hun main kai din se na jaane kaun se sadme utha rahi ho tum wo shokhiyan wo tabassum wo qahqahe na rahe har ek chiz ko hasrat se dekhti ho tum chhupa chhupa ke khamoshi mein apni bechaini khud apne raaz ki tashhir ban gai ho tum meri umid agar mit gai to mitne do umid kya hai bas ek pesh-o-pas hai kuchh bhi nahin meri hayat ki ghamginiyon ka gham na karo gham-e-hayat gham-e-yak-nafas hai kuchh bhi nahin tum apne husn ki ranaiyon pe rahm karo wafa fareb hai tul-e-hawas hai kuchh bhi nahin mujhe tumhaare taghaful se kyun shikayat ho meri fana mere ehsas ka taqaza hai main jaanta hun ki duniya ka khauf hai tum ko mujhe khabar hai ye duniya ajib duniya hai yahan hayat ke parde mein maut palti hai shikast-e-saz ki aawaz ruh-e-naghma hai mujhe tumhaari judai ka koi ranj nahin mere khayal ki duniya mein mere pas ho tum ye tum ne thik kaha hai tumhein mila na karun magar mujhe ye bata do ki kyun udas ho tum khafa na hona meri jurat-e-takhatub par tumhein khabar hai meri zindagi ki aas ho tum mera to kuchh bhi nahin hai main ro ke ji lunga magar khuda ke liye tum asir-e-gham na raho hua hi kya jo zamane ne tum ko chhin liya yahan pe kaun hua hai kisi ka socho to mujhe qasam hai meri dukh-bhari jawani ki main khush hun meri mohabbat ke phul thukra do main apni ruh ki har ek khushi mita lunga magar tumhaari masarrat mita nahin sakta main khud ko maut ke hathon mein saunp sakta hun magar ye bar-e-masaib utha nahin sakta tumhaare gham ke siwa aur bhi to gham hain mujhe najat jin se main ek lahza pa nahin sakta ye unche unche makanon ki dewdhiyon ke tale har ek gam pe bhuke bhikariyon ki sada har ek ghar mein hai aflas aur bhuk ka shor har ek samt ye insaniyat ki aah-o-buka ye kar-khanon mein lohe ka shor-o-ghul jis mein hai dafn lakhon gharibon ki ruh ka naghma ye shah-rahon pe rangin sadiyon ki jhalak ye jhonpadon mein gharibon ke be-kafan lashe ye mal-road pe caron ki rel-pel ka shor ye ptriyon pe gharibon ke zard-ru bachche gali gali mein ye bikte hue jawan chehre husain aaankhon mein afsurdagi si chhai hui ye jang aur ye mere watan ke shokh jawan kharidi jati hain uthti jawaniyan jin ki ye baat baat pe qanun o zabte ki giraft ye zillaten ye ghulami ye daur-e-majburi ye gham bahut hain meri zindagi mitane ko udas rah ke mere dil ko aur ranj na do
This is a great ghamgeen shayari urdu. True lovers of galti shayari pic will love this. Please share if you liked this!!!