muhafiz

jo teri nindon ko jagta tha
jo teri khansi ko khansta tha

jo teri barish ko bhigta tha
jo teri sardi ko hanpta tha

jo apne hisse ke sare luqme
tujhe khila ke dakarta tha

jo apne hathon ke sakht chhaale
chhupa ke tujh ko dularta tha

jo apne kapdon mein tere kapde ke
nap rakh rakh ke napta tha

jo tere zindan ki qaid tujh ko
rihai de kar ke katta tha

jo tere aansu ko apni aankhon se
sochta tha aur pochhta tha

tujhe chalane ke waste jo
har ek mausam mein daudta tha

wahi ye budha
wahi ye laghar

wahi apahij
wahi ye pagal

wahi ye wahshi
wahi ye bhuka

wahi ye nanga
wahi nikamma

hai bap tera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close