in muammar darakhton ke qile mein bhagdad macha dewdar ki shakhon pe shab-khun mar aur khwahish ke patton ke qalin par aisa udham macha jo ragon mein thithurte hue khun ko garm kar de khayalon ki tah-deg ko itna khaula ki barfani tudon se chingariyan phut niklin dilon aur zehnon ke mabain khinchi hui khushk taron pe bandhe hue rang-dar-rang dhagon ke par kat de mere aur us ke mabain bahte hue ret ke is samundar ke pindal mein chup se panja ladane ka elan kar jangali dhol ki gat pe badmast ho zor kar ai hawa shor kar