ye jo ek hazrat chale aate hain goristan se ye na samjhen aap hain be-zar apni jaan se aap ko yunhi hai aasar-e-qadima se lagaw jis tarah chuna dali, katthe ko nisbat pan se aap ko qabron se ulfat ishq virane se hai aap ghabraate hain jite-jagte insan se koi kitna hi bada ho falsafi shaer adib umr bhar is se raha karte hain aap anjaan se han magar jaise hi pa jata hai be-chaara wafat aap us ko chahne lagte hain ji se jaan se sunghte hain der tak marhum ki khak-e-lahad phir ye farmate hain uth kar aalimana shan se tul-o-arz-e-qabr se ye saf chalta hai pata gorkan aae the atraf-e-balochistan se ye tha ek rukh sahib-e-tahqiq ki taswir ka dusra rukh bhi bayan karta hun, suniye dhyan se hain ba-zom-e-khud muhaqqiq aap hindostan ke aap ne nuqte gine hain 'mir' ke diwan ke katte hain sut ko tahqiq ke itna mahin aap ke aage jolahe mat hain iran ke zer-e-tahqiq aap ke rahte hain ye sab masale kis qadar chuhe pale the ghar mein 'momin'-khan ke panch baj kar panch par ya panch baj kar sat par 'dagh' ne toda tha dam zanu pe munni-jaan ke 'rind' ne ek bewafa ke ishq mein khai thi jo wo chhuri ke zakhm the ya ghaw the kirpan ke dhun hai ye sabit karen, dilli tha 'miltan' ka watan aur 'sauda' ke chacha butcher the inglistan ke al-gharaz rahti hai roz o shab yahi bas ek fikr koi gul-dasta utaren taq se nisyan ke