mere pote ne oxigen ka basta apni pith par bandh kar ijazat mangi khala ke safar ke liye mere bete ne jo raushni ko gin raha tha mez par apni nigahon ke do sawaliya shanon ko uchhaal diya meri taraf main ne dawa ki goliyon ke rakhte hue ek mariza ke nahif hath mein apni jhurriyon ke bhanwar se phenk daya do nigahon ka sawal pusht ki diwar par jahan ek shaeri ki taswir hai tangi hui wo mere baba hain ki khwab ki duniya basane wale shaer ke khwabon ki ye tisri tabir thi ek pal khamushi rahi ek pal ke baad honton ke chand phul khile jabin par ek chand uga aur phir ghurub ho gaya aur dur khalaon mein upar ko tairti hui machine ki aawaz maddham hoti chali gai