shahid-e-jaur-e-gulchin hain asir-e-khasta-tan hum hain hamara jurm itna hai hawa-khwah-e-chaman hum hain satane ko sata le aaj zalim jitna ji chahe magar itna kahe dete hain farda-e-watan hum hain hamare hi lahu ki bu saba le jaegi kanan milega jis se yusuf ka pata wo pairahan hum hain hamein ye fakhr hasil hai payam-e-nur lae hain zamin pahle-pahal chumi hai jis ne wo kiran hum hain sula legi hamein khak-e-watan aaghosh mein apni na fikr-e-gor hai hum ko na muhtaj-e-kafan hum hain bana lenge tere zindan ko bhi hum ghairat-e-mahfil liye apni nigahon mein jamal-e-anjuman hum hain nahin tesha to sar takra ke ju-e-shir laenge bayaban-e-junun mein jaanashin-e-kohkan hum hain zamana kar raha hai koshishen hum ko mitane ki hila pata nahin jis ko wo buniyaad-e-kuhan hum hain na daulat hai na sarwat hai na ohda hai na taqat hai magar kuchh baat hai hum mein ki jaan-e-anjuman hum hain tere khanjar se apne dil ki taqat aazmana hai mohabbat ek apni hai tera sara zamana hai fida-e-mulk hona hasil-e-qismat samajhte hain watan par jaan dene hi ko hum jannat samajhte hain kuchh aise aa gae hain tang hum kunj-e-asiri se ki ab is se to behtar gosha-e-turbat samajhte hain hamare shauq ki waraftagi hai did ke qabil pahunchti hai agar iza use rahat samajhte hain nigah-e-qahr ki mushtaq hain dil ki tamannaen khat-e-chin-e-jabin hi ko khat-e-qismat samajhte hain watan ka zarra zarra hum ko apni jaan se pyara hai na hum mazhab samajhte hain na hum millat samajhte hain hayat-e-arzi sadqe hayat-e-jawedani par fana hona hi ab ek zist ki surat samajhte hain hamein malum hai achchhi tarah tab-e-jafa teri magar is se siwa apni had-e-ulfat samajhte hain gham-o-ghussa dikhana ek dalil-e-na-tawani hai jo hans kar chot khati hai use taqat samajhte hain ghulami aur aazadi bas itna jaante hain hum na hum dozakh samajhte hain na hum jannat samajhte hain dikhana hai ki ladte hain jahan mein ba-wafa kyunkar nikalti hai zaban se zakhm kha kar marhaba kyunkar