main ek patthar main ek be-jaan sard patthar jumud-e-begangi ka mazhar azal se hadd-e-nazar ko takti hui nigahen khala mein latki hui ye bahen zamin mujhe sath le ke dushwar manzilen lakhon ghum aai karodon rahon ko chum aai falak ke sahir ne kitne afsun mujh pe phunke mere pas-o-pesh timtimate diye jalae dhuen ke gahre hisar bandhe khuda-e-mausam ne harba-ha-e-bahaar se mujh ko aazmaya khizan ki saffak ungliyon ka hadaf banaya magar meri be-hisi ne har ek hamla-awar ka sar jhukaya isi guzargah par hun istada aur shayad yahin rahunga jahan se guzre dhadakte lamhon ke karwan dhime sur mein gate hayat-e-na-paedar ke marsiye sunate mere badan ki amiq sardi ko sard se sard-tar banate main kitni sadiyon se sochta hun ki koi jumbish zara si larzish agar meri munjamid ragon mein khudi ki dhimi si aanch bhar de ye aanch lahra ke kya na kar de!