main apni zat ke zindan mein kab tak rahun tanha sahun tanha main apne aap ko kab tak bhala kab tak udasi aur tanhai ke in be-zaiqa zakhmon ko paiham chatta jaun musalsal jagta jaun ki habs-e-mustaqil mein zindagi karne se behtar hai main apne khol se bahar nikal aaun kisi khud-kush dhamaka karne wale se lipat jaun bikhar jaun mere apne bhi to kuchh khwab hain 'jazil' jo meri nind ki wadi mein aane ki tamanna dil mein rakhte hain jo meri rah takte hain mujhe khwabon ko aankhon mein pirona hai mujhe aazad hona hai