tere darakhton ki tahniyon par bahaar utre teri guzargahen nek rahon ki manzilen hon mera zamana nae nae mausamon ki khushbu tere shab-o-roz ki mahak ho zamin par jab bhi raat phaile kiran jo zulmat ko raushni de teri kiran ho parinde udte hue parinde hazar samton se tere baghon mein chahchahaen wo raat jis ki sahar nahin hai wo tere shahron se tere qasbon se dur guzre wo hath jo azmaton ke hijje mita raha hai wo hath lauh-o-qalam ke shajre se tut jae kalas pe lafzon ke phul barsen teri fasilon ke burj duniya mein jagmagaen akele-pan ki saza mein din katte hazaron teri ziyarat-gahon ki bakhshish se taza-dam hon tere muqaddar ki baadshahat zamin pe nikhre nae zamane ki ibtida tere nam se ho khushi ke chehre pe wasl ka abr tair jae tamam duniya mein tazkire tere phail jaen