main jaise dard ka mausam ghata ban kar jo bas jata hai aankhon mein dhanak ke rang khushbu nazr karne ki tamanna le ke jis manzar talak jaun siyah ashkon ke gahre kohr mein duba hua paun mein apne dil ka sona pyar ke moti tarasti aarzu ke phul jis dar par sajata hun wahan jaise makin hota nahin koi bana hun ek muddat se sada-e-bazgasht aisi jo diwaron se takrae hirasan ho ke laut aae dhadakte dil ke sune-pan ko suna aur kar jae main apne aap ko sunta hun apne aap ko chhuta hun apne aap se milta hun khwabon ke suhane aaina-ghar mein to mera aks mujh par muskuraata hai ye kahta hai saliqa tujh ko jine ka na aana tha nahin aaya sadaen pattharon ki tarah mujh par mere khwabon ke bikharte aaina-ghar par barasti hain udhar tara idhar jugnu kahin ek phul ki patti kahin shabnam ka ek aansu bikhar jata hai sab kuchh ruh ke sunsan sahra mein main phir se zindagi karne ke arman mein ek ek reze ko chunta hun sajata hun nai murat banata hun dhanak ke rang khushbu nazr karne ki tamanna mein qadam aage badhata hun to ek be-nam gahri dhund mein sab dub jata hai kisi se kuchh shikayat hai na shikwa hai ki main to dard ka mausam hun apne aap mein palta hun apne aap mein jita hun apne aansuon mein bhigta hun muskuraata hun magar sab log kahte hain tujhe jina nahin aata