ye kya zarb-e-paiham si har dam hai sine pe mere kabhi zarb ulti lagi ya meri pusht khud zarb-e-paiham se ulti tu phir ridh ki haddiyan meri chtkhin ki sarhad pe jun ek masum bachche ki haddi mujahid ke buton ki zad mein padi charmaraati rahi ho to kya zarb-e-paiham se pichha chhudana bhi mumkin nahin hai? nahin hai to kya main bhi sikhun wahi zarb-e-paiham ki sari adaen? ki ye zarb-e-paiham muqabil kabhi zarb-e-paiham ke aae ye mumkin hai ifham-o-tafhim ki koi surat bhi nikle koi sur mohabbat ka phute, faza gungunae