mujhe khabar hai ye aabnusi chattan jo dub ke sabz takhte pe aa giri hai nai subuk narm pattiyon ka singhaar pi kar sunahre lamhon ki sans mein phans ban kar atak gai hai mujhe yaqin hai ki mausamon ke tilism ye tirgi uda kar isi sulagti chattan par dub ki sabz zulfen bikher denge mujhe yaqin hai mere kate bazuon ki taqat meri ragon se nahin gai hai mere lahu ke ye surkh dhaare nai hikayat ke pesh-rau hain nai umangon nae ujalon nae shafaq-zar ke amin hain mujhe khabar hai ki ghol chidiyon ke lashkar-e-abrha ki ab kuchh khabar na lenge hamari aankhon mein raushni hai magar dilon mein siyahiyan hain udasiyon ke ghane dhuwen mein chhupi hui kaamraniyan hain mujhe yaqin hai ki is faza mein faraaz-e-sahra-e-be-aman hain hazaron masum ediyan ragad chuke hain ragad rahe hain ubal padega zarur koi hayat-afroz aab-e-shirin sadaqaton ke bahaar-zaron ko aakhirash tazgi milegi mujhe khabar hai mujhe yaqin hai