go hamein malum tha ki ab wo silsila baqi nahin hai go hamein malum tha ki nuh aane ke nahin ab han magar jab shahr mein pani dar aaya hum ne kuchh mauhum ummidon ko pala aur ek bade pindal pe yakja hue hum aur ba-yak aawaz hum ne nuh ko phir se pukara go hamein malum tha ki nuh aane ke nahin ab go hamein ehsas ye bhi tha ki hum ne khud hi wo sara samundar kat kar us ka rukh moda tha apne shahr ki jaanib magar hum mutmain the mauhum ummidon ko aae din jawan karte hue hum sab ki phir se nuh aaenge bulaenge jilau mein apne taza kashtiyan makhluq-e-khuda ke taza jode laenge aur hum phir se nuh ki kashti mein pani se nikal jaenge ek din ki ab pani fasilen tod kar shahr ko dariya banane pe tula hai ab nahin malum ki hum kis jagah hain kaun hain hum hum abhi tak muntazir hain ab hamein kaamil yaqin hai ibn-e-maryam laut aaenge hamein zinda uthaenge