mujhe kya agar mujh se pahle ye dharti meri pyari dharti faqat ek hayula thi aur zinat-e-taq-e-nisyan thi us ka tasawwur mahz diyat ke chand zarre thi ya raste the ye wo log the jin ki sari tag-o-dau hi dharti se tark-e-talluq pe mauquf thi hawaon mein un ke tilismi mahal the khala mein latakti thin un ki nigahon ki lashen mujhe kya agar wo sabhi apne dil ke dimaghon ke aankhon ke zakhmon ka marham sitaron mein ja dhundte the kabhi chand ki zard kirnon se jalte labon ki magar tishnagi ko bujhate unhen khabt tha ye hawaen sukun aashti aur ulfat ka chashma hain in ke rawan tund jhonke hamari pareshaniyon ka mudawa hain suraj dimaghon mein kachche khayalon ki faslen pakata hai dharti to bas hum mein ehsas-e-beganagi paida karti hai ruhen hamesha hi ek karb ki aag mein jalti rahti hain dharti faqat ek zindan hai jis se rihai ki surat falak chand sitaron se mansub hone mein hai mujhe kya un ke jine ka maqsad hi apni halakat tha khud ko bhulana tha sari tag-o-dau se maqsud bas khud-kushi thi wo buzdil the sab apne qatil the andhe the un ki nigahen zamin dekh sakti nahin thin unhen khud ka ehsas tak bhi nahin tha wo sab kuchh the lekin mujhe kya main un ke liye apni aankhon ko dil ko abas aansuon mein ghulaun main kyon raat-din un ke gham mein jalun main to un mein nahin hun wo andhe the qatil the apne liye the mujhe kya ki wo main nahin tha