jiwan to bahta dariya hai sukh dukh is ki maujen hum tum donon mil kar apni pyar ki manzil khojen pahle chheden tan surili phir patwar uthaen lahr lahr masti mein nache aisa naghma gaen hum aage badhte jaen hum aage badhte jaen jiwan to hai ghor andhera aur hazaron ghaten pyar ke suraj se darti hain gham ki kali raaten dur karen man ka andhiyara dagar dagar ujyara phaile aisa naghma gaen hum aage badhte jaen hum aage badhte jaen jiwan to hai ek paheli jo bujhe wo dana us ne duniya jit li sari jo khud ko pahchana khud ki ye pahchan jahan mein logon ko sikhlaen insanon ki shan badha de aisa naghma gaen hum aage badhte jaen hum aage badhte jaen jiwan to ek sannata hai jaise gahra raaz todegi is khamoshi ko pyar bhari aawaz pyar bhari aawaz yahi hum duniya mein phailaen jina jo aasan bana de aisa naghma gaen hum aage badhte jaen hum aage badhte jaen jiwan to maya bandhan hai dur rahe wo jogi is jag mein jab ye haalat hai phir aage kya hogi jo baitha hai chhod ke duniya aao use samjhaen patthar ko jo mom bana de aisa naghma gaen hum aage badhte jaen hum aage badhte jaen jiwan to sunsan nagar hai anjaani hain rahen prem-dagar ko dhund rahi hain chaaron samt nigahen nazron ki is hairani ko dur karen muskaen aankhon ko pur-kaif bana de aisa naghma gaen hum aage badhte jaen hum aage badhte jaen