hai sawan ki pahli jhadi aur zamin an-ginat aansuon se dhuli hai magar ek manzar bhi nikhra nahin hai parindon ki chahkar mein bhi udasi ghuli hai mujhe kya zarurat hai kaliyon ke chehre pe muskan ki chandni main khilaun hatheli pe aakash ki aarzu ke sitare sajaun mujhe kya padi hai bulaun bahaaron ke mutrib sikhaun unhen ek anjaan mithi surili si dhun jis ki lai par fazaon mein khushiyon ke ghungru bajen yun chhana chhan ki nache mera man mera man bhala fikr us ki kare kyon yahan we nahin hai we chahe kahin hai ye kaliyan ye aakash mutrib bahaaron ke sab jaante hain hawaen parinde use mante hain mujhe bhi yaqin hai use lautna hai usi ke tasarruf mein khushiyon ke lamhe usi ke tasarruf mein har ek ghadi hai udasi kahin raste mein khadi hai mujhe kya padi hai