meri 'salma' mujhe le chal tu un rangin bahaaron mein! jahan rangin bahishten khelti hain sabza-zaron mein! jahan huron ki zulfen jhumti hain shakh-saron mein jahan pariyon ke naghme gunjte hain kohsaron mein jawani ki bahaaren tairti hain aabshaaron mein meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin bahaaron mein wo mastana bahaaren jin pe qurban arz-e-jannat hai jahan har zarra ek gahwara-e-mauj-e-latafat hai jahan rangat hi rangat hai jahan nikhat hi nikhat hai mohabbat hukmaran hai jin ke pakiza dayaron mein! meri 'salma' mujhe le chal tu un rangin bahaaron mein! wo doshiza fazaen jannaton ka hai guman jin par chhidakta hai mai-e-tasnim-o-kausar aasman jin par lutati hai sahab-e-husn-o-talat kahkashan jin par surur o nur o nikhat baste hain jin ke sitaron mein meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin bahaaron mein! jahan sham o sahar nili ghataen ghir ke aati hain! ufuq ki god mein nilam ki pariyan muskuraati hain! fazaon mein bahaaren hi bahaaren lahlahati hain jahan fitrat machalti hai lahakte abr-paron mein! meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin bahaaron mein! jahan chaaron taraf bagh-o-gulistan lahlahate hain shagufta wadiyon mein jannaton ke khwab aate hain jahan masum tair ishq ke naghme sunate hain aur un ka lahn-e-shirin gunjta hai kohsaron mein! meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin bahaaron mein! hukumat hai jahan sidq-o-safa o mehr-o-ulfat ki nashat-o-aish-o-ishrat ki surur-o-lutf-o-rahat ki nasim o anjum o gul ki nawa o nur o nikhat ki! mohabbat maujzan hai jin ke doshiza nazaron mein meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin nazaron mein! jahan aabaad ye napak shahristan nahin hote fasadi fitna-parwar aur zalil insan nahin hote ye insan han ye haiwan bad-tar az-shaitan nahin hote fasad-o-shar jahan sote hain khwabon ke mazaron mein! meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin nazaron mein! bahishton ki latafat hai jahan ki zindagani mein maza aata hai kausar ka jahan ke sada pani mein khudai husn uryan hai jahan ki naujawani mein! sadaqat karwaten leti hai saz-e-dil ke taron mein meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin nazaron mein! hayat-e-daimi likkha hua hai jin ke aiwan par iram-zar-e-abad hai saya-zan jin ke khayaban par dawamiyyat ke jalwe chha rahe hain bagh-o-bustan par guzar mumkin nahin hai maut ka jin ke nazaron mein meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin nazaron mein mohabbat mein jo ho jata hai painda nahin marta! sadaqat jis ko kar deti hai tabinda nahin marta! hai jis mein ishq raqsan wo dil-e-zinda nahin marta! nawa-e-la-fana hai ruh ke khamosh taron mein meri 'salma'! mujhe le chal to un rangin nazaron mein!