mujhe malum tha aakhir kisi din mera dil betab ho kar tum se izhaar-e-mohabbat par mujhe majbur kar dega aur is par phir tumhaari samt se is tarah ka radd-e-amal hoga ki jis se meri ghair aabaad aankhon ko tumhaare awwalin didar ne jo khubsurat khwab bakhsha tha wo chakna-chur ho kar khak mein mil jaega yak-dam mere ehsas ki murda zaminon mein tumhaari muskurahat se khile the phul jo kaif-o-masarrat ke wo ek pal mein bikhar jaenge sab ke sab mere tarik dil mein aarzu ke jin charaghon se zara si jagmagahat thi wo ek lamhe mein bujh jaenge sab ke sab faqat is wajah se jaanan main tum se baat karne mein hamesha hichkichata tha