mujhe tanha hi rahne do mujhe tanha hi rahne do main ab tanhai mein aasuda rahta hun mujhe ab mahfilon ke shor se wahshat si hoti hai mujhe ab apni khali jhonpdi ki khamushi mein chain padta hai yahan koi bhi meri aur mere dil ki baaton mein khalal paida nahin karta yahan main jazb ki haalat mein ghanton khoya rahta hun magar koi mera thattha nahin karta main is mahaul mein apni raza se jita marta hun yahan jo kaam bhi karna ho main ji-bhar ke karta hun kabhi ta-der hansta hun kabhi ta-der rota hun yahan meri hansi se ya meri aankhon ke nam se koi afsana nahin banta yahan main hasidon ki bad-nazar aur dushmanon ke makr se mahfuz rahta hun yahan aghyar ke dushnam aur ahbab ke tanon ka mujh ko dar nahin hota so mere dosto tum se guzarish hai mujhe tanhai mein aabaad rahne do agar tum mahfil-arai se khush ho khush raho lekin mujhe bhi shad rahne do mujhe tanha hi rahne do mujhe tanha hi rahne do