mujhe mat is tarah dekho

mujhe mat is tarah dekho
ki jaise koi dimak se ati lakdi ko takta hai

kisi sunsan kamre ke dar-o-diwar par likkhi hui tanhai
padhta hai

khandar se tar-e-ankabut ka rishta samajhne ke liye
khud se ulajhta hai

mujhe mat is tarah roo
achanak maut par jis tarah rote hain azizon ko

falak par tutte taron ko jaise chand rota hai
samundar khali sipi ke liye jaise tadapta hai

wo raste
jo ki katra kar guzar jate hain manzil se

wo sahra jin ki wusat par gulistan naz karta hai
wo sapne jo ki sharminda na hon ta۔bir ke hathon

unhen roya nahin karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close